Saturday 31 March 2012

Kaash Tujhko Khabbar Hoti(2)




Kaash tujhko khabbar hoti, ki me tera de-ewana ban gaya hu,
Tere pyaar se bhara hua ek pai-mana ban gaya hu,
Kaash tujhko khabbar hoti, ki teri nigaahon ke jaam se,
me chalta firta mai-khana ban gaya hu.

Kaash tujhko khabbar hoti, ki teri khaamoshi kis qadar mujhe tadpati hai,
tod de ye khaamoshi ki meri zindagi simat si jati hai,
Kaash tujhko khabbar hoti, ki teri ye udaasi,
naajane kyu mujhe reh-reh ke sataati hai.

Kaash tujhko khabbar hoti, ki sajde me jab bhi sir jhukta hai,
teri mohobbat ka hi hamesha zikr uthta hai.
Kaash tujhko khabbar hoti, humne rab se maanga hai tujhe is qadar,
ki vo bhi teri chaahat ko tarasta hai.

Kaash tujhko khabbar hoti, ki subah shaam rab se teri ibaadat hoti hai,
teri hi har dam ab inaayat hoti hai.
Kaash tujhko khabbar hoti, ki tu kitni haseen hai,
kya hi phool ki kaliyon me vo nazaaqat hoti hai.

Kaash tujhko khabbar hoti, kaash tujhko khabbar hoti....

No comments:

Post a Comment